Urdu Shayari - 2010 shayari
Aqal bhi hairan hai ik pal me ye kya hogaya
Tune to bosa diya aur jism nila hogaya
Maslehat ki baat ab meri samajh me aagai
Main zara Tedha hua har shakhs seedha hogaya
Kar Raha Hai Roshni Ka Qafla Mera Tawaf
Rang Ab To Hasidon Ka aur Kala hogaya
Zindagi Ne Phir Saliqe Se Kafan Pahna diya
Mai ne Itna Sach Kaha Har Qaul Jhuta Hogaya
Jo Na The AAgah Khud Se Gharq Dariya hogaye
Mai Tha Sahil Ka Tamannai Kanara Ho gaya
Dar Haqiqat Ras Aati Thi Darweshi Use
Who Numayan Hone Ki Chahat Me Ruswa Hogaya
Sab Ki Aankhon me thi Hamdardi Magar Khamosh the
Mai Ne Daman Sach Ka Thama Tha Akela Hogaya.
BY Rashid Anwar Rashid
No comments:
Post a Comment