Pages

Urdu Ghazals -Urdu Poetry -Ghalib

Urdu Ghazals -Urdu Poetry -Ghalib

HazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin phir bhee kam nikle


Darey kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
Wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle

Nikalna KHuld se aadam ka sunte aayeiN haiN lekin
Bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

Magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

Mohabbat me nahi hai farq, Jine aur marne ka
Usi ko dekh kar jite hain,Jis kafir pe dam nikle

Kaha Maikhane ka darwazah, GHALIB!! aaur kaha waaiz!!
Par Itna jante hain,kal woh jata tha ki hum nikle

No comments:

Post a Comment