Pages

Urdu Nazm | Urdu Shairy

kuch pata na chala raaste kho gaye...
Itna naraz tha waaste kho gaye....
Aise raftar mein daur chalne laga...
Manzilon ke nishan bhagte kho gaye....
Kuch ana ka dakhal kuch sitam raniyan...
Phir mohabbat bhare raabte kho gaye...
Sab ki manzil fana kaun rahne ko hai...
Namwar jis qadar yaar the kho gaye...
Hoga jalwa numa bus yahi soch kar...
Zindagi tera dar taakte kho gaye.
by Azhar Barampuri

No comments:

Post a Comment