
Honton ke do phool rakhe the usne jab peshani par
Chand hansa tha dekh ke hum ko pas nadi ke pani par
JagMag JagMag karti aankeh mujhko acchi lagti hain
Qissa Lamba Kardeta hai Bacchon ki Hairani par
Ye Bhi Koi Baten hain jin par aankhen khul Jati hain
Main Hairan HUa Karta Hu dunya ki hairani par
Hosho Khurd aise khote hian,baap bhala aise hote hain
Baccha ban kar cheekh rahe ho bacchon ki nadani par
Aye is daur ke budhe baccho!!Aao hamre saath chalo
Laal Gulabi nao chalain hare sunhare pani par
Shaam ke baad hi khulta hai har bhed nasheeli Khushboo ka
Din ko tawajjah kab deta hai koi raat ki raani par
by aitebar sajid
No comments:
Post a Comment