Pages

Urdu Shayari - Sher o Shayari - Hindi Urdu Shayari

Urdu Shayari - Sher o Shayari - Hindi Urdu Shayari

Houslon ko sar buland dil ko jawaan rakhtaa hoon mein
Jhuk nahi saktaa pahaadon si ana rakhtaa hoon mein

Kar na paoge kabhi tum baal bhi baanka mera
Sar pe apne dushmanon, maa ki dua rakhtaa hoon mein

Mujhko ae rahzan zamane tu akela mat samajh
Saath rab ki rahmaton ka kaarwaan rakhtaa hoon mein

Mujhko hata naa paaoge imaan se sar kaat kar
Apne khoon ke qatre qatre mein khuda rakhta hoon mein

Kaise qabool hogi naa meri har-ek-dua
Mehboobe khuda ke deen se jab waasta rakhta hoon mein



Urdu Shayari - Shayari In Urdu - Urdu Poetry

Urdu Shayari - Shayari In Urdu - Urdu Poetry

Ek hansi khwaab se bedaar ho gaye yaa rab
Kal shaah the aaj naadaar ho gaye yaa rab

Jinki khushiyan judi thi kal tak meri khushi ke saath
Aaj woh dar-paye-aazar ho gaye yaa rab

Sach kya bol diya duniya se adawat kar lee
Sab ki nazron me gunehgaar ho gaye yaa rab

Jo dar ke maare kabhi aankh naa milate the
Aaj wo bar sare pai-kaar ho gaye yaa rab

Apni gazlon mein meine sach ko utaara jis din
Meri qatil mere aashaar ho gaye yaa rab