Urdu Shayari - Sher o Shayari - Hindi Urdu Shayari
Houslon ko sar buland dil ko jawaan rakhtaa hoon meinJhuk nahi saktaa pahaadon si ana rakhtaa hoon mein
Kar na paoge kabhi tum baal bhi baanka mera
Sar pe apne dushmanon, maa ki dua rakhtaa hoon mein
Mujhko ae rahzan zamane tu akela mat samajh
Saath rab ki rahmaton ka kaarwaan rakhtaa hoon mein
Mujhko hata naa paaoge imaan se sar kaat kar
Apne khoon ke qatre qatre mein khuda rakhta hoon mein
Kaise qabool hogi naa meri har-ek-dua
Mehboobe khuda ke deen se jab waasta rakhta hoon mein
Great Shayari, Thanks
ReplyDeletehttp://BharatPad.com